Shayari in Hindi 2014

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
`
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte..
`
Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.
`
Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bus usse samjhaya karo..
`
Gam me hasne valoko kabhi rulaya nahi jata,
Lehro se pani ko kabhi hataya nahi jata,
hone vale ho jate he khud hi dil se apne ,
Kisiko kehkar apna banaya nhi jata……,